The Megical Trick Went Wrong

The Megical Trick Went Wrong


Live performance to hum aksar dikhtay hain. TV main kai bar live show dikhay jaty hain. In main say buhat si live performances aise hoti hain jo hmaisha kay liye zehn nasheen ho jati hain. Chahay woh dance performance ho ya singing performance ya phir koi megic trick. Buhat say reality shows main megical tricks dikhay jaty hain. Buhat say megical tricks aisay hoty hain jinhain daikh kar hansi ati hai. Yon lagta hai yeh megical tricks kam aur mazahiya tricks zayada lagta hai. Laikin baz megician aisy tricks paish karty hain jinhin daikh kar aqal heran rah jati hai. Insan hairat main par jata hai kay yeh kaisay mumkin hai. Yeh kis tarick rha say kia ja sakta hai. Ise tarha ka megical trick is video main paish kia giya hai. Aik video main megician aik live show main aik admi kay tukray tukray kar daita hai. Us ka adha dhar alag kar daita hai. Na sirf alag karta hai balky usay hawa main lahra kar dikhata hai. Us ka adha dhar alag para hota hai. Dhaikhnay walon kay sans upar kay upar aur nechay kay nechay rah jaty hain. Yon lagta hain yeh admi nahein koi roh hai, Ya agar admi bhi hai to yeh kabhi apni asl halat main nahein a pay ga. Laikin is say bhi zayada kamal ki bat yeh hoi kay megician ny sub kay samnay us admi kay upar aur nechay waly dhar ko jor dia aur usay dobara sub kay samnay khara kar dia. Kata janay wala admi apnay paon peh chal kay gia. Audience sans lena bhool gaye. Jadoo gar kay is trick nay sub ko hairat main dal dia. Laikin baz auqat kuch hadsay bhi roonuma hoty hain jo sub kay liye aik ibrat bn jaty hain. Jaisa kay is video main ap daikh sakty hain kay megician ka jadoo ghalt ho gia aur such main us nay aik aurat ka gala kat dia. Yeh buhat bhyanak such hai. Is main ghalti chahy jis ki bhi ho woh aurat to jan say chli gai. Is tarha kay khatarnak jadoo aur tricks say guraiz krna chahiye.