It Was Black Water not Taliban Behind The Peshawar Attack

It Was Black Water not Taliban Behind The Peshawar Attack



America kbhi Pakistan ka khairkhwah nahein ho sakta yeh to amoomi khayal tha laikin yeh khyal hamary hukmranon
ka hargiz nahein tha. Buhat dafa yeh bat kai pahloon say sabit bhi hoi per usay daba dia gia. Us peh na koi ahtjaj 
kia gia aur na hi jawab dahi ki gai. Akhir ko america hamary hukmranon ka pait jo bharta hai. Hamain qarzon kay hasool kay liye america ki zroorat jo hai laikin hamary hukmran yeh bhool hi jaty hain kay America ko bhi buhat c chezon kay liye hamari zroorat hai. Hal hi main Sanih Pashawar nay pori qoam ko hila kay rakh dia. Is ki zimadari taliban nay apnay sar li. Laikin akhir yeh tlibn kon hain haqeeqat main inhain kon janam day raha hai. 
Ab haqeeqat kuh aur hi samnay a rahi hai. Ab America kay sahafi nay live show main yeh zimadari qbool ki hai kay darhaqeeqat yeh taliban nahien balkay taliban ka libada aurh kay America ki black water khufya agency hai jo kay Peshawar attack ki zimadar hai. Na sirf Peshawar attack balky Pakistan main honay waly buhat say bomb blosts ki zimadar yahi agency hai. Amrici sahafi kay mutabiq America Pakistan ko torna chaha hai. Jis ki bari wajah Pakistan ka Atomic power hona hai. America Pakistan ko apnay liye khatra samjhta hai is liye isay kamzoor kar kay hathyana chahta hai. Pakistan ko apnay dakhli masail main hi uljhay rakhna chahta hai. Ta kay taraqi kay mansoobon ki taraf ghor karnay ka waqt hi na mily. Pakistan main dhamaky karnay waly koi taliban nahein balkay yeh dhamaky black water karti hai aur ilzam taliban kay sar dal dia jata hai. Jisy hum aur hamary hukmran bgair kisi heel o hujat kay qabool kar laity hain. Jis ka faida ab tak America utha raha hai. Ab to taliban nay bhi is bat ki tasdeeq kar di hai kay Peshawar main attack karnay waly woh nahein hain. Ab daikhna yeh hai kay itna wazeh bayan anay kay bad hamari hakoomat kia karti hai. Aya ab bhi woh America say baz purs karnay ki himat karti hai ya is bar bhi mamla daba dia jata hai. America kay Pakistan ko tornay kay mansooby kay bary main Amrici sahafi kay larzah khaiz inkshafat is video main daikhain.