American Police Officer Dancec On Duty

American Police Officer Dancec On Duty


Dunya rang rang kay logon say bhari pari hai. Har insan ki fitrt, adat, pasand, Napasand dosray say alag hoti hai. Ise tarha her insan kay kam karnay ka treeqa bhi dosray say mukhtlif hota hai. Her insan kay andar mazah ki his bhi alag hoti hai aur bilkul ise tarha shoq bhi har koi alg alg rakhta hai. Kahty hain kay shoq ka koi mool nahein yani insan ko jub kise chez ka shoq hota hai to wo usay pany ki har mumkin koshish karta hai. Ise tarah jub kise hunar fun ko seekhnay aur karnay ka shoq hota hai to insan usay seekhnay kay liye jan tor mehnat karta hai, Aur phir apnay shoq ko panay kay bad us ko present karnay kay liye bhi kise kism ki sharm ya jhijhak mehsoos nahein ki ja sakti. Jaisa kay ia video main dikha ja sakta hai. Is main aik traific police officer hai jisay dance ki azhad shoq hai. Woh dance kay shoq main is had tak kho chuka hai kay woh apni duty kay doran bhi dance karty hi paya jata hai. Woh traific ko signals bhi dance karty hovay hi daita hai. Log usay daikh kar heran rah jaty hain. Kai logon ko uski dmaghi halt peh shubah honay lagta hai. Laikin zayada tar log jan laity hain kay yeh apnay shoq kay hathon majboor hai. Is liye sar e aam apnay duty kay doran bhi apnay fun aur shoq ka muzahra karty hovay woh nahein jhijhakta. Buhat say log usay daikh kar khush hotay hain. Kai log to apni gariyon say utar kar us kay sath tasveer banvany khary ho jaty hain. Ap bhi yeh video daikhain aur is man chaly police officer kay dance say lutf uthain.