Friend Throwing Acid Over Rival For Stealing Boyfriend

Friend Throwing Acid Over Rival For Stealing Boyfriend


Dunya main buhat say aisay waqiat hotay hain jinhain daikh kar sun kar insan kay rongtay khary ho jaty hain. Jealusi, Hasad aik aisa jazba hai jo insan ko pagal kar daita hai. Hasad ko ise liye aag kaha giya hai keo kay yeh insan ko andar hi andar jala kay rakh kar daita hai. Jaln main insan ko pata hi ni chalta kay woh kon sa aml karnay ja raha hai. Lagan hoti hai to bus is cheez ki kay kise tarha is aag ko thanda kar liya jaye. AUr insan ointi qadm uthaty bhi sochta nahein hai. Ise tarha ka aik waqia gujranwala main paish aya jahan Hasan nami shakhs nay Sana nami larki say muhabbat kay dawy kar rakhy thy. Ise doran uski mulaqat sana ki dost Rida say hoti ha jis kay husn aur adaon kay samany Sana mannd par gai. Hasan nay Rida say dosti kar li. Dono Sana say chup chup kay apas main milna lagy. Sana ko donon peh shak ho giya. Us nay un ka peecha kia aur thory din ki mehnat kay bad haqeeqat is kay samnay khul gai. Is bat nay us kay dil ko shadeed sadma puhanchaya. Hasan say zayada usay Rida peh afsoos tha jis nay uski dost hoty hovay us kay haq per daka dala. Us ka ghusa hasad main badny laga. Us nay Rida say intqam ka faisla kar lia. Aik din usay moqa bhi mil giya. Us nay Rida ka taaqub kia aur aik rasty per kahein jaty hovay us kay chehry per tezab phaink dia. Rida ki chekh o pukar per log akhaty ho gay aur bhagti hoi sana ko pakr kar police kay hawaly kar dia. Sana aj bhi jail main apni saza kat rahi hai. Rida ki zindagi tabah ho gai, Laikin Hasan jo in sub halat ka asal zimadar tha woh aj bhi azadi say apni zindagi mazy say guzar raha hai. Ab sawal yeh hai kay Kia AHsan jaisay mujrmon kay liye koi sazi nahein koi qanoon nahein. Agar Hasan jaisy log yonhi begunah sabit hoty rahy to hamary maashry main kai Rida aur kai Sana yoonhi tabah hoti rahain gi.