Sushmita Sen Recite Sorah Al-Asr

Sushmita Sen Recite Sorah Al-Asr


Ise sal main buhat say waqiat aisay daikhnay main aye hain kay kai ghair muslim skoon ki talash main rah e hidayat per aye aur unhon nay islam qbool kia. HAl hi main Imitbh Bachan ki khabr buht gardish min the kay unhain skoon ki talash hai. Aur skoon ki talash main unhon nay Quran Pak seekha aur parhna shoro kia. Unhon nay is bat ka aitraf kia kay unhain Quran pak parhnay say waqie zahni aur dili skoon naseeb hova hai. 
Ab un ky bad Sushmita sen kay bary main yeh inkshaf hova hai kay unhon nay Quran Pak seekha hai. Sushmita Sen india ki maroof actress hain. Unhon nay qabl e zikr shuhrat kamai hai. Is vide min unhon nay Quran Pak ki sorah al asr ki tilawat ki hai. Unhon nay nihayat khoobsoorati say theek tlafuz kay sath sorah parhi. Jis say na sub dikhnay sunnny waly hairat main mubtla ho gay. Keo kay itna theek Quran parhna koi mamoli bat nahein yeh is bat ka sboot hai kay unhon nay Quran pak baqaida seekha hai. Warn woh is tarh parh nahein sakt thein. Balkay na sirf seekha hai zubani yad bhi kia hai. Tabhi to it ni rawani say unhon nay sorah parh di. Ab dikhna yeh hai kay woh is bat ko kab tasleem karti hain kay woh Quran pak ki taleem hasil kar rahi hain. Ya yeh kay woh islam main dilchaspi lay rahi hain aur usay samjhnay ki koshish kar rahi hain. Agr waqie aisa hai to Allah tala hidayat aur sahi rasta chunny kay liye unka dil zroor khol day aur unhain hidayat naseeb kary.  Aamin