Inside View Of Cave Hira Dailymotion Video
Ghar e Hira ki shan kon nahein janta. Har muslman jo dil main Ishq e Mustafa rakhta hai woh Ghar e Hira ko daikhnay ki hasrat zroor apnay dil main rakhta hai. Yeh wohi ghar hai jahan hamary payary Nabi naboovat say pahlay Allah ki ibadat kay liye jaty they. Yeh wohi ghar hai jahan sarkar e do aalam ko nboovat say nawaza gia, Yeh wohi ghar hai jahan pahli wahi nazil hoi. Yeh wohi ghar e hira hai jahan Aqa (s.A.W.W) nay apnay yar Sadeeq e Akbar kay sath panah li the . G han hamry NAbi (S.A.W.W) ko is ghar say buhat muhabbat the. Is liye har woh shakhs jisay Ap (s.A.W.W) say dili muabbat hai woh is ghar ka deedar zroor karna chahy ga. Hum jub huj ya umary kay liye jaty hain to Ghar e Hira ki zayarat bhi karty hain. Laikin huj kay moqa per rush is qadar hota hai kay bus chand pal hi naseeb hotay hain zayarat kay. Insan ji bhar kay daikh bhi nahein sakta. Ashqan e Rasool (S.A.W.W) kay liye yeh video post ki hai. Is video main Ghar e Hira kay androni manazir dikhay gaye hain. Woh aytain bhi kannda hain jo pahli bar Ap (S.A.W.W) per nazil hoin. Unhin daikh kar insan fart e muhabbat say jhoom hi to uthta hai. Kis qadr khushkismat hain woh log jo wahan na sirf zayarat kar rahy hain balkay namaz ki saadat bhi hasil kar rahy hain. Yeh manazir daikh kar dil chahta hai kash hum bhi is jagah puhnch jain. In muqadas pathroon ko cho sakain choom sakain jinhain kabhi Hamary Aqa nay chova tha. Sari video hi eman afroz hai. Ap bhi Video zroor daikhain aur apna eman taza karain.