Pakistani Latest couple Mehndi Dance

Pakistani Latest couple Mehndi Dance 


Aj kay dor mian dance kisay pasand nahein. Yon lagta hai jaisay mojoda dor main har koi dance ka rasiya hai. Har koi dance karna aur acha dance daikhna chahata hai. Aye din TV kay mukhtlif chennels peh mukhtlif dance show dikhaye jaty hain. Pori duny say log in dance shows main hisa laity hain. Dance kay nit nay tareeqy aur style mutaarif karwaye jaty hain. Baaz auqat to dance kay liye itnay mushkil tricks chunay jaty hain kay aqal dhang rah jati hai. Aur kai dafa kuch tanz o mazah ko dance main shamil kar kay mahol ko khushgwar kar dia jata hai. Baz auqat dance kay zariye hi koi khas message awam tak puhanchaya jata hai. Kai dance performances aise hoti hain kay dikhnay walon ki ankhon say ansoo jari ho jaty hain. Aise pur asar performances hmaisha kay liye apny nqoosh choor jati hain logon kay zahnon main.Khas tor per hamary hamary functions to dance kay bgair bilkul adhoory rahty hain. Hamary han buhat c rasoomat hain jin main mayoon mehndi, dholak aur geet wgaira main nach gany ka rawaj hai. Specially mehndi kay function per to buhat hi enjoy kia jata hai. Mehndi per ab to dance wagaira ka rawaj is had tak zor pakr gia hai kay hum log apni mazhabi aur saqafti rawayatoon tak ko bhool jaty hain. Jaisa kay is video main ap daikh sakty hain kay larky aur larkiya mix dance kar rahy hain. Is main enjoyment ka ansar kam aur behayai ka ansar zayada hai. Aise mehflain hamary mashray ki tabahi ka bais hain. Nai nasl ki ikhlaqi iqdar ko tabah karti hai. Hamain is qism ki mehfilon say ijtnab karna chahiye.