Pakistani Boys Mind blowing Dance

Pakistani Boys Mind blowing Dance 


Dance kisy pasand nahein hai. Aj kay dor main har koi dance ka rasiya hai. Hata kay bachy jinhain shaor bhi nahein hot woh bhi moseeqi ki thap peh thirakna shoro kar daity hain. Tv paeh bhi kai programm chalty hain jo dance kay hawaly say hoty hain. In programms ko daikh kar bhi dance ka shok aur ubharta hai. Hamary shadi biyah kay funnction bhi nach gany kay bgair adhory hoty hain. Larkay aur larkiyan har koi dance ka deewana nazar ata hai. Laikin ab dance ka maqsad kuch aur hi ban chuka hai. 
Ab nojwan nasl nay isay zayada hi sar peh sawar kkar liya hai kay apni mazhabi aur masharti iqdar ko hi faramosh kar baithy hain. 
Larkiyan to larkiyan larky bhi kai jaghon per dance ki practice karty nazr aty hain. kise function ya party main daikhain to pahly larkiyan hi raqs krti dikhai daite thein laikin ab larky un say bhi zayada jhoom rahy hoty hain. Baz auqat to larkon ka dance is qadr munfrid aur khoobsorat hota hai kay insan film actors ko bhool jata hai. Larkay itnay mushkil mushkil stunned mar rahy hoty hain kay woh dance kam military ki trainning zayada maloom hota hai. Laikin insan unki is koshish peh dad diye bghair nahein rah sakta. 
Is video main teen larky kise local area main dance ki practice kar rahy hain. Un kay dance ka andaz rawayti bhangry aur Pakistani dance say hat kay hai. Woh buhat khobsoorat andaz main dance kar rahy hain. Un kay step bilkul western hain. Kuch dance unka robort aur kuch statue andaz main hai. Woh teenon bari bari apny buhat combination say apna apna dance dikha rahy hain. Is video ko daikh kar insan waqie lutf uthata hai.