Michelle Obama Landed In Saudi Arabia Without Head Scarf

Michelle Obama Landed In Saudi Arabia Without Head Scarf


Amrici khatoon e awal Michelle Obama apnay shohar Obama kay sath Saodi Arb kay nay 
farman rawa Salman Bin bdul aziz say mulaqat kay liye Saodi Arab gain. Whan inhain nangy 
sar honay bais tanqeed ka nishana banna par gia. Tafseelat kay mutabiq is moqa per 
Michelle Obama nay islami mulk main mojodgi ki nisbat apna poora jism to dhanp rakha tha 
laikin sar per scarf nahein liya tha. Jis kay baad inhain maqami logon ki janib say 
tanqeed ka nishana banna par giya. Aamad kay fori bad bhi jub shahi khandan main inka 
istaqbal kia gia to sirf chand aik mardon nay hi in say hath milaya bakiyon nay sirf sar 
hilanay per iktfa kia. Laikin is kay baad samaji rabton ki websites per inhain karhi 
tanqeed ka nishana banaya giya. Is moqa per sarfeen ki janib say kai tasaveer bhi shaya 
ki ja rahi hain jin main inhain isai rahnuma pop Bandcut kay samnay to scarf main 
dikhaya giya hai, Magr Saodi Arab amad per unhain nangy sar hi dikhaya giya hai. Is kay 
ilawa Indonesia dory 2010 main inhain scarf smait mukamal islami libas main daikha ja 
sakta hai. Naqdeen ka kahna hai kay Michelle Obama ki Saodi Arb bghair scarf aamad nay 
in aalmi rawayat ko tora hai jis main mezban mumalik ki saqafat aur qawaneen ko mad e 
nazr rakha jata hai. Dosri janib Saodi TV ki janib say shaya ki jany wali Obama aur 
Michelle ki Saodi Arab amad ko dikhaya giya hai. Taham is bary main yeh bhi maloomat 
hain kay is video ko TV ki bajay kise saraf nay tabdeeliyon kay bad upload kia hai.