Father Daughter Facebook Chat Gone Bad

Father Daughter Facebook Chat Gone Bad


Internet ki dunya nay hamain kahan ka kahan puhncha dia hai. Aik tarf hum apnay doston say is qadr qreeb ho gay hain kay dooriyon ka ahsas hi khatm ho gia hai. Laikin jahan aik taraf is kay faidy hain dosri tarf buhat say ghalt pahoo bhi hain jin say pahlotahi nahein ki ja sakti. Baz auqat to is kay side effect is had tak barh jaty hain kay insan ko tabahi kay tak puhancha daity hain. Chat to bus un logon say karni chahiye jinhain hum janty hon jo hmary friends, Rishty dar hon laikin buhat dafa hum aisay logon ko apnay doston ki list main shamil kar laity hain jinhain janna to door ki baat hum un kay naam tak say waqif nahein hoty. Aisay hi logon say phir nuqsan uthana parta hai. Hum tahqeeq tak karna gwara nahein krty. Aur ise wajah say kai dafa nadamat aur sharmindagi ka samna karna par jata hai. 
Ise tarha ka aik waqia Is video main ap daikh saktay hai. Is main bap bete dono aik dosray say facebook chat karty hain. Dono hi is bat say bekhabr hain kay wo dono kon hian. Bina tahqeeq kiye dono aik dosray say hot chat karty hain. Phir bap ki parmaish per dono camera on karnay ka faisla karty hain. Dono exitment main fatafat tayari karty hain. Larki khud ko thora aur sexy look daite hai. Laikin jub dono aik dosray kay samny aty hain to dono kay hosh urh jaty hain. Sharmindagi aur nadamat say dono aik dosray say nazar milanay kay qabil nahein rahty. Agy dikhaya jata hai kay larki apnay bap say khofzada aur unsecure feel karti hai. Woh apnay hi ghar main ajnabiyon ki tarha rahty hain. Bap beti dono kay man bharm aik dosray kay samnay toot gaye. Ab shayad woh sari umar aik dosray say sharminda rahain aur nazarain churaty rahain. Internet dono kay liye wabal ban gia.