Arab Prince Entered In Tomb Alive To Taste Death

Arab Prince Entered In Tomb Alive To Taste Death


Mot barhaq hai, yeh hum sub janty hain. Yeh zindagi fani hai. Yeh zindagi aik saraay hai 
jahan hum sub apna waqt poora karnay kay bad lot jain gay apnay asal ki taraf. Har koi 
janta hai kay mot ani hai phir bhi koi tayari nahein. Phir bhi hum ghaflat main doobay 
rahty hain. Apni fani zindagi ko sudharnay sanwarnay kay liye apni abdi zindagi ko 
bhoolay baithy hain. Loot maar, Qatl o gharat, Chori chukari ka bazar har tarf garm hai. 
Kahein sakoon nahein. Iski wajah sirf apni mot say ghafil hona hai. Agar har kise ko 
ahsas ho jay kay uski mot ki kuch khabr nahein kis pal uska daira tang honay wala hai to 
shayd koi burai zamany main rahy hi na. Har taraf amn o skoon hi muyassar a jay. Jaisa 
kay is video main aik arbi shakhs zinda qabr main utar giya sirf yeh mehsoos karnay kay 
liye kay mot ka khoof kaisa hota hai. Qabar ki zindagi kaise ho gi. Us kay dostoon nay 
usay kafan pahna kar qabr main utara, Aur 20 mint tak andar rahnay dia. 20 mint kay baad 
jub us nojwan ko qabr say nikala giya to uski halat qabl e rahm the. Woh hichkiyon say 
ro raha tha, Us say baat tak na ho rahi the. Kuch dair bad us kay doston nay poocha kay 
tum nay sub say pahlay kia mehsoos kia? kia socha? Us nay jawab dia kay kay Allah kki 
bari mehrbani hai kay main zinda hoon main nay mot ko mehsoos kia. Zindagi sachai hai to 
mot us say bari sachai hai. Mujhay wahan sub say pahla khayal yahi aya kay Allah say 
maira kia taluq hai, Kia main nay isay nibhaya apnay bivi bachoon ka khayal aya mujhy, 
Kay main nay un kay sath kaisa bartao kia un kay liye kia tabdeeliyan laya. Phir apnay 
ap ko socha kay zindagi kaisay guzar raha hon main. In hcnad mintoon nay maire zindagi 
badal doi hai. Is mukhtasir waqt nay mari zindagi per gahray asrat muratib kiye hain. 
MAin bharpoor koshish karoon ga kay apni zindagi ko behtreen tareeqy say guzaroon Ta kay 
mera anjam acha ho.