The Main Reason Of Divorce Has Come Out In Saodi Arabia

The Main Reason Of Divorce Has Come Out In Saodi Arabia



Saodi Arab jo kay islami mumalik main sub say numayan haisiyat rakhta hai. Saodi Arabia hi aisa mulk hai jahan islami nizam sahe manoon main raij hai. Laikin Saodi Arabia jaisay mulk kay bary main aik ajeeb o greeb baat pata chali hai kay yahan talaq ki sharah roz broz barhti hi ja rahi hai. Yahan shadiyan kuch arsa say zayada chalti hi nahein hain. Log aik shadi karwaty hain thory arsay bad talaq day daity hain phir dosri shadi karwaty hain laikn woh bhi zayada arsa nahein chalti. Is tarha talaq aur shadiyon ka rujhan barhta hi ja raha hai. Aur iski main wajah logon ki jinsi taluqat kay bary main lailmi bataya jata hai.
Tafseelat kay mutabiq saodi Arabia kay aksar log jinsi taluqat kay bary main bilkul lailm hain. WOh log aik dosray say is bary main baat bhi nahein kartay. Jis ki wajah say woh log apni biviyon ko khush nahein rakh paty. Aur unko akhri hal talaq hi nazar ata hai. Laikin phir yeh log kuch arsa bad phir shadi kar laity hain shayad masharti dabao ki wajah say ya akaily rahnay kay khof say laikin yeh dobara shadi zroor karty hain aur dobar say nateeja wohi baramad hota hai. Saodi Arabia main soorat e haal kafi tashweeshnak hai. Kao aik islami mulk main talaq ki sharah ka barhna koi khair ki alamat to nahein.