Reality Of Pakistani Date Of Velentinesday

Reality Of Pakistani Date Of Velentinesday


Velentinesday ki haqeeqat say hum sub waqif hain. Yeh ghair muslamon ka tahwar hai jis main muhabbat karnay waly izhar e muhabbat karty hain. Laikin is qism kay behoda tahwar ki hamary mazhab main koi jagah nahein hai. Yeh khuli fahashi aur behayai hai. Is qism kay concepts ki wajah say hi mashra tabah ho raha hai. Laikin bdkismati say Pakistan jaisay islami mulk main bhi is tahwar ka kafi rawaj parh giya hai. Khas tor per new generation to is tahwar ko kafi josh o khrosh say manati hai. Yeh sochay bghair kay is say hamara maashra hi nahein hamary ghar tabah ho rahy hain. Jis tarha ki larkiyan dosron ki hum apnay entertainment kay liye pasand karty hain use tarha ki hamary apnay ghar main bhi hain. Un per bhi to kise nazar ho gi na. Jub kise ki bhn ya bete ko date peh la jaty hain to yeh zahn main rakhna chahiye kay hamari bahn ya beti bhi aisay hi kise kay sath date peh ja sakti hai. Agr velentine day jaisay behoda aur ghair islami tahwar itnay josh o jazbay say manany lag jain gay to hamary ghar ki asmaton ki hifazat kon kary ga. Hum to khud behayai ko dawat day rahy hain. Hum fahashi ko khud apnay ghar ka rasta dikha rahy hain. Aik mint kay liye agr hum apni jagah kise aur ko rakhain aur apni girl friend ki jagah apni bhn ko rakahin to shayad is tasawar say hi dil kanp uthy. Apnay ghar kay liye hum itnay conscious hoty hain aur dosron ki izton ko bhool jaty hain. Agr humain apny gharon ki apnay mashray ki apnay eman ki hifazat karni hai to shoroat khud say karni ho gi. Nechay di gai video funny tarz peh banai gai hai. Laikin is main bhi aik lesson hai. Kuch mazah hai, Kuch islah hai. Daikhain aur commints dain.